Friday, 18 August 2017

Noted Sarod exponent and music scholar, Prof CL Das is no more (मशहूर सरोदवादक प्रो.चंद्रकान्त लाल दास नहीं रहे)

        प्रो.चंद्रकांत लाल दास का निधन:



       मैहर सेनिया घराने के सरोद वादक पं. चंद्रकांत लाल दास का कल 17 अगस्त 2017 को पटना में स्वर्गवास हो गया। उनकी आयु 83 वर्ष थी। बाबा अलाउद्दीन ख़ाँ के वह वरिष्ठ शिष्यों में थे। बिहार के संगीत जगत में उनकी अच्छी प्रतिष्ठा थी। हिन्दी में संगीत समीक्षा को उनका योगदान स्मरणीय है। 'संगीत' मासिक में 50-60 के दशकों में 'गगन संगीत' स्तंभ के लिए उन्होंने रेडियो के अखिल भारतीय कार्यक्रमों की निरंतर संगीत समीक्षा लिखी। उनका यह योगदान ऐतिहासिक है।

      पाँच पुत्रियों और एक पुत्र के पिता प्रो. दास ने अपनी पाँचों पुत्रियों को शिक्षा देने और संगीत तथा नृत्य के क्षेत्र में कलाकार बनाने का संकल्प लिया। किसी पिता के लिए यह निर्णय उस दौर में बड़ा क्रांतिकारी था।'पटना संगीत संकल्प' के वह अध्यक्ष थे। संगीत-लेखन के लिए उन्हें 'काका हाथरसी संगीत सम्मान' से नवाज़ा गया था। संगीत कार्यालय, हाथरस और 'संगीत संकल्प' की देश भर की शाखाओं की ओर से प्रो. चंद्रकांत लाल दास को विनम्र श्रद्धांजलि...

-मुकेश गर्ग
राष्ट्रीय महानिदेशक 'संगीत संकल्प'

पूर्व संपादक 'संगीत' मासिक


       Varishth sarod waadak aur sangeet vidwaan, Prof Chandrakant Lal Das ka vrihaspatiwar ( August 17, 2017) ki der shaam nidhan ho gaya. Unki umra 83 warsh thi. Wo apne peechhe patni, paanch betiyan, ek beta bahu aur anek shishya aur kalakar tatha sangeet premi mitra chhod gaye hain. Shukrawar ki subah se hi unke aawas, Asawari par unke kalakar mitron, shishyon aur parichiton ka Tanta unke antim darshakon ke liye Langane lagaa. Wahan maujud logon me the novelty prakashan ke Amarendra JHA, H L Gulati, Mammen Mathew, Shashi Dhawle, Arun Kumar, Alok Mohit, Dr RV Roy, Ruchir Kumar, Ashok Jha, Udit, Vishal, Ranjit, Sawan, Pravin , Advocate Rashmi, Pt Shivji Mishra, Sudipa Ghost , Sangita Raman Kutti, Suman Karmsheel, Mukesh Kumar, Asha Pathak, Neerja, Satyaprakash Moti, Rajshekhar, Diljit Khanna, IK Das, JK Das, Satish Das, Arman Sohel Ekram, Asim Ekram , Laldev Singh, aur Rajkumar Lal. Din ke doosre prahar me unhe Patna ke gulbi ghat per unka antim sanskar kiya gaya. Unke putra Dinesh Kumar Das ne unhe mukhagni di.

Profile: Prof CL Das desh ke warishth sarod waadak aur sangeet vidwaan the. Maihar Senia gharane ke iss kalakar me Sarod waadan ki shiksha Padma Vibhushan Ustad Alauddin Khan se li thi. Unhone Bihar ke kone kone me Sarod waadan prastuti di thi aur Maihar Gharana ka prachaar kiya thaa. Aur Bihar me samachar patra aur patra Patrikaon me kala sameeksha ki parampara bhi unhone hi kiya thaa. Sangeet khsetra me vishesh yogdan ke liye Bihar sarkar ne unhe rashtreey samman se vibhushit kiya, Delhi ke SaMaPa ne poorv kendriya Sanskriti mantri, Kumari Shelja ke Abhinav Gupta Samman, Sangeet Sankalp ne Ahmedabad me Kaka Hathrasi Sammamish, Cbetna Samiti ne Chetna Sevi Sammamish, Natraj Kala Samman ityadi se vibhushit kiya thaa. Unhone kai kitabe bhi likhit. Akashvani par Gagan Mei Anhad, Pt Ramchatur Mallick par King Of Dhrupad ityadi likha hai.Unhe western classical music se bhi vishesh lagaaw tha aur photography unka ek passion tha. Patna ke picchle 50- 60 warshon ki tasveer unhone apne camera me kaid ki thi. Balki Patna ke Dussehra sangeet samaroh ka photo ka bhi durlabh sangrah unke pass thaa.
....
- Rina Sopam

    
























No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.